मंगलवार, 15 नवंबर 2011
U.P. Ki janta hi bhikari kyon
Kal Rahul bhai ne phoolpur ki railly main bola ki u.p. ke log desh ke anyarajyon main jakar kam bhikariyon ki tarah mangte hain. Kam ke liye u.p. se bahar jana aur kam mangna bheek mangna hai to is desh ke honhar yuvak medical, management, technology ki degrees hasil kar jab desh ke bahar kam mangte hain tab aapko gussa kyon nahi aata. Centre main aap hi ki party ki sarkar hai. Yeh honhar yuvak kam ki bheek desh ke bahar jakar na maange iske liye aapki sarkar ne kya kiya. Shayad aap soch samajhkar bolte yeh baat na saamne aati, aap desh ke honhar yuvkon ko bahar desh mein jakar kam mangne se rok lo U.P. ke log apne hi state main kam dhoond lenge, aap jaisi shakhsiyat se is tarah ki ummeed nahi kee ja sakti thi. Lagta hai U.P. mein satta hasil karne ki jaldbaji aapko jyada hai, tabhi aap apne poorvjon ke kam ke naam par vot ki bheek is bhikari janta se mang rahe hai. Aap is pradesh ki janta ke liye kuch karne ki keval sochte rahiye, Samajwadi Party pichle paanch saal se janta ke saath sangharsh kar rahi hai satta mile ya na mile janta ki bhalai ke liye janta ke sath rekar hamesha sangharsh karte rahenge, centre mein kabhi karne ka mauka mila tab aapko hum aapko khud par gussa karne ka bharpoor mauka diya jayega. Shukriya U.P. Ki janta ko soye se jaggae ka.
शनिवार, 12 नवंबर 2011
गुरुवार, 10 नवंबर 2011
beemar kon
aaj subah neswspaper mein netaji (manniya Mulayam SinghYadav ji) ka statement dekha. netaji ko beemar kahne walon ko chahiye ki pahle khud ka chek up kisi acche doctor se kara le, kahin aisa na ho ki jo izzat upar wale ne bakshi hai wo bhi chalee jaye. Lagta hai aisa kuch kahne wale azam fobia ka shikar to nahi.
bharat vasiyon ko Digvijay Deshwal ka pranam
deshwasiyon ko pranam. hamare PM saab ne gilani ko shantidoot kahne ka shukriya. Congress ke panchsheel ke sidhant ko hi aage barhaya hai.
सदस्यता लें
संदेश (Atom)